اردو हिंदी
Kabhi sunte hain aql-o-hosh ki aur kam bhi pite hain | Shaahi Shayari
kabhi sunte hain aql-o-hosh ki aur kam bhi pite hain

Ghazal

Kabhi sunte hain aql-o-hosh ki aur kam bhi pite hain

Nushur Wahidi

;

kabhi sunte hain aql-o-hosh ki aur kam bhi pite hain
kabhi saqi ki nazren dekh kar paiham bhi pite hain

kahan tum doston ke samne bhi pi nahin sakte
kahan hum ru-ba-ru-e-naseh-e-barham bhi pite hain

KHizan ki fasl ho roze ke ayyam-e-mubarak hon
tabiat lahr par aai to be-mausam bhi pite hain

tawaf-e-kaba be-kaifiyyat-e-mai ho nahin sakta
mila lete hain thoDi si agar zamzam bhi pite hain

kahan ki tauba kaisa ittiqa ahd-e-jawani mein
agar samho to aao tum bhi chakhkho hum bhi pite hain

'nushur' aaluda-e-isyan sahi par kaun baqi hai
ye baaten raaz ki hain qibla-e-alam bhi pite hain