kabhi sukun to kabhi iztirab jaisa hai
ab us ka milna-milana bhi KHwab jaisa hai
ye tishnagi-e-mohabbat na bujh sakegi kabhi
ye mat kaho ki ye dariya sarab jaisa hai
ghamon ki dhup mein ummid ke bhi sae hun
tu zindagi mein yahi inqalab jaisa hai
kabhi KHayal se bahar kabhi KHayal mein hai
wo ek chehra jo dil mein gulab jaisa hai
koi mile na mile be-qarar rahta hai
ki dil ka haal bhi ek mauj-e-ab jaisa hai
hamare dil mein wahi hai jo sab pe zahir hai
ki apna chehra khuli ek kitab jaisa hai
wo jis ki zat se jine ka lutf tha 'nadir'
bichhaD gaya to ye jina azab jaisa hai
Ghazal
Kabhi sukun to kabhi iztirab jaisa hai
Athar Nadir