kabhi soz-e-dil ka gila kiya kabhi lab se shor-e-fughan uTha
koi ahl-e-zabt bhala buto use kya kare jo dhuan uTha
ye KHuda ki shan to dekhiye ki KHuda ka nam hi rah gaya
mujhe taza yaad-e-butan hui jo haram se shor-e-azan uTha
mere sabr ne bhi ghazab kiya ki adu ki jaan pe ban gai
ye kahan ki choT kahan lagi ye kahan ka dard kahan uTha
jo kabhi lagi ki KHabar suni to ghazab ki choT yahan lagi
mujhe soz-e-dil ka guman hua jo kisi ke ghar se dhuan uTha
na hua ilaj-e-gham-e-KHudi kisi barahman se na shaiKH se
mujhe is bala se bachane ko jo uTha to pir-e-mughan uTha
ye jahan dam-e-fareb hai jo chale to dekh ke chal zara
jo tujhe KHayal ho did ka to samajh ke aankh yahan uTha
teri rah-e-shauq mein zoaf se kahun haal-e-'natiq'-e-zar kya
ye wahin uTha hai jahan gira ye wahin gira hai jahan uTha
Ghazal
Kabhi soz-e-dil ka gila kiya kabhi lab se shor-e-fughan uTha
Natiq Gulavthi