kabhi sitare kabhi kahkashan bulata hai
hamein wo bazm mein apni kahan bulata hai
na jaane kaun si uftad aa paDi hai ki jo
hum ahl-e-ishq ko kar-e-jahan bulata hai
ye kaisa dam-e-rihai bichha diya us ne
zamin pakaDti hai aur aasman bulata hai
gali gali mein aqidon bhari dukanen hain
qadam qadam pe naya aastan bulata hai
bhaTak gae hain magar gum nahin hue hain kahin
abhi hamein jaras-e-karwan bulata hai
ye aag lagne se pahle ki baz-gasht hai jo
bujhane walon ko ab tak dhuan bulata hai
ummid TuTne lagti hai jab bhi koi 'salim'
to ek yaqin pas-e-wahm-o-guman bulata hai
Ghazal
Kabhi sitare kabhi kahkashan bulata hai
Saleem Kausar