اردو हिंदी
Kabhi sitara kabhi ramz-o-istiara hua | Shaahi Shayari
kabhi sitara kabhi ramz-o-istiara hua

Ghazal

Kabhi sitara kabhi ramz-o-istiara hua

Khursheed Afsar Baswani

;

kabhi sitara kabhi ramz-o-istiara hua
ajib Dhang se wo mujh pe aashkara hua

sabhi ne aaina dekha abhi musallam tha
teri nigah paDi aur para para hua

rakha gaya hai hifazat se self mein mujh ko
ki jaise main bhi KHususi koi shumara hua

hamin ne aag lagai thi apne daman mein
phir us ke baad na aansu koi sharara hua

lahu ka qatra tha wo bhi jo apni gardish mein
kahin charagh bana aur kahin sitara hua

tere jamal ka sauda to kar liya lekin
kabhi nigah kabhi jaan ka KHasara hua

nafas nafas teri hamsaegi mili mujh ko
main tera parda hua tu mera nazara hua