kabhi shuur kabhi dil kabhi suKHan mahke
kaho wo sher ki duniya-e-fikr-o-fan mahke
ata hamein bhi jo ho jae 'mir' ka andaz
to lafz lafz se mani ka pairahan mahke
rahun KHamosh to phulon ko nind aa jae
paDhun jo sher to lafzon ka bankpan mahke
larazte honTon ki wo guftugu to yaad nahin
bas itna yaad hai barson lab-o-dahan mahke
dabi hui hai jo sadiyon se gham ki chingari
bhaDak uThe to KHayalon ki anjuman mahke
kabhi to aisa zamana bhi aae ai 'gauhar'
mohabbaton ki faza se mera watan mahke
Ghazal
Kabhi shuur kabhi dil kabhi suKHan mahke
Gauhar Usmani