اردو हिंदी
Kabhi sham-e-hijr guzarte kabhi zulf-e-yar sanwarte | Shaahi Shayari
kabhi sham-e-hijr guzarte kabhi zulf-e-yar sanwarte

Ghazal

Kabhi sham-e-hijr guzarte kabhi zulf-e-yar sanwarte

Hasan Rizvi

;

kabhi sham-e-hijr guzarte kabhi zulf-e-yar sanwarte
kaTi umr apni qafas qafas teri KHushbuon ko pukarte

na wo mah-jabinon ki Toliyan na wo rang rang ki boliyan
na mohabbaton ki wo baziyan kabhi jitte kabhi haarte

wo jo aarzuon ke KHwab the wo KHayal the wo sarab the
sar-e-dasht ek bhi gul na tha jise aansuon se sanwarte

tha jo ek lamha visal ka wo riyaz tha kai sal ka
wahi ek pal mein guzar gaya jise umr guzri pukarte

the jo jaan se bhi aziz-tar rahe umr bhar wahi be-KHabar
thi ye aarzu mere chaara-gar meri naw par utarte

nahin lab pe koi sawal tha mera dil tamam malal tha
main KHamosh dar pe khaDa raha rahe wo bhi gesu sanwarte