اردو हिंदी
Kabhi sarab karega kabhi ghubar karega | Shaahi Shayari
kabhi sarab karega kabhi ghubar karega

Ghazal

Kabhi sarab karega kabhi ghubar karega

Saud Usmani

;

kabhi sarab karega kabhi ghubar karega
ye dasht-e-jaan hai miyan ye kahan qarar karega

abhi ye bij ke manind phuTta hua dukh hai
bahut dinon mein koi shakl iKHtiyar karega

ye KHud-pasand sa gham hai so ye umid bhi kam hai
ki apne bhed kabhi tujh pe aashkar karega

tamam umr yahan kis ka intizar hua hai
tamam umr mera kaun intizar karega

nashe ki tarah mohabbat bhi tark hoti nahin hai
jo ek bar karega wo bar bar karega