اردو हिंदी
Kabhi sar pe chaDhe kabhi sar se guzre kabhi panw aan gire dariya | Shaahi Shayari
kabhi sar pe chaDhe kabhi sar se guzre kabhi panw aan gire dariya

Ghazal

Kabhi sar pe chaDhe kabhi sar se guzre kabhi panw aan gire dariya

Ali Akbar Abbas

;

kabhi sar pe chaDhe kabhi sar se guzre kabhi panw aan gire dariya
kabhi mujhe baha kar le jae kabhi mujh mein aan bahe dariya

gata hun mere sur mein sur mil jae us ki lahron ka
meri aankh mein aansu dekhe to phir apni aankh bhare dariya

main apni use sunata hun wo apni mujhe sunata hai
main chup to wo bhi chup hai aur main kahun to baat kahe dariya

kahin barf lapeTe baiTha hai kahin ret bichha kar leTa hai
kabhi jangal mein Dera Dale kabhi basti aan base dariya

ai dariya! tera paT baDa, ai dariya! tera zor baDa
ai dariya! gum ho kar tujh mein qatre ka nam paDe dariya

ai shaer! tera dard baDa ai shaer! teri soch baDi
ai shaer! tere sine mein is jaisa lakh bahe dariya