kabhi sahra mein rahte hain kabhi pani mein rahte hain 
na jaane kaun hai jis ki nigahbani mein rahte hain 
zamin se aasman tak apne hone ka tamasha hai 
ye sare silsile ek lamha-e-fani mein rahte hain 
sawera hote hote roz aa jate hain sahil par 
safine raat bhar dariya ki tughyani mein rahte hain 
pata aanhken ko milta hai yahin sab jaane walon ka 
sabhi is aaina-KHane ki hairani mein rahte hain 
idhar hum hain ki har kar-e-jahan dushwar hai hum ko 
udhar kuchh log har mushkil ki aasani mein rahte hain 
kise ye nili pili titliyan achchhi nahin lagtin 
ajab kya hai jo hum bachchon ki nadani mein rahte hain 
yahi be-chehra o be-nam ghar apna Thikana hai 
hum ek bhule hue manzar ki virani mein rahte hain
        Ghazal
Kabhi sahra mein rahte hain kabhi pani mein rahte hain
Shamim Hanafi

