kabhi saya to kabhi dhup ka manzar badle
dar-o-diwar hue dasht-numa ghar badle
mausamon ne to daraKHton ko diye pairahan
aur hawaon ne uDanon ke liye par badle
us ne chaTTan mein ek phul khilaya to kya
pattharon ko na badalna tha na patthar badle
reg-zaron mein chala qafila-e-mauj-e-hayat
tishnagi ret ke sahra mein samundar badle
ek tere gham ke ujalon ki ridaen mil jaen
zindagi jism ki ye maili si chadar badle
Ghazal
Kabhi saya to kabhi dhup ka manzar badle
Mukhtar Shameem