kabhi raste ko rote hain kabhi mushkil ko rote hain
jo nakaam safar hote hain wo manzil ko rote hain
zara andaz to dekhe koi in dil-figaron ka
palaTte hain waraq mazi ka mustaqbil ko rote hain
KHudaya kis qadar nadan hain ye kashtiyan wale
samundar par nazar rakhte hain aur sahil ko rote hain
badal din inqilab-e-waqt ne qadren zamane ki
sajate the jo KHud mahfil wo ab mahfil ko rote hain
guzarti hai isi aalam mein 'rahbar' zindagi apni
kabhi dil hum ko rota hai kabhi hum dil ko rote hain
Ghazal
Kabhi raste ko rote hain kabhi mushkil ko rote hain
Rahber Jaunpuri