اردو हिंदी
Kabhi raqs-e-sham-e-bahaar mein use dekhte | Shaahi Shayari
kabhi raqs-e-sham-e-bahaar mein use dekhte

Ghazal

Kabhi raqs-e-sham-e-bahaar mein use dekhte

Amjad Islam Amjad

;

kabhi raqs-e-sham-e-bahaar mein use dekhte
kabhi KHwahishon ke ghubar mein use dekhte

magar ek najm-e-sahar-numa kahin jagta
tere hijr ki shab-e-tar mein use dekhte

wo tha ek aks-e-gurez-pa so nahin ruka
kaTi umr dasht o dayar mein use dekhte

wo jo bazm mein raha be-KHabar koi aur tha
shab-e-wasl mere kanar mein use dekhte

jo azal ki lauh pe naqsh tha wahi aks tha
kabhi aap qarya-e-dar mein use dekhte

wo jo kaenat ka nur tha nahin dur tha
magar apne qurb-o-jawar mein use dekhte

yahi ab jo hai yahan naghma-KHwan yahi KHush-bayan
kisi sham ku-e-nigar mein use dekhte