kabhi qatar se bahar kabhi qatar ke bich
main hijr-zad hua KHarch intizar ke bich
bana hua hai talluq sa ustuwari ka
mere tawaf se is mehwar o madar ke bich
ki aata jata rahe aks-e-hairati is mein
bichha diya gaya aaina aar-par ke bich
hawa ke khel mein shirkat ke waste mujh ko
KHizan ne shaKH se phenka hai rahguzar ke bich
ye main hun tu hai hayula hai har musafir ka
jo miT raha hai thakan se udhar ghubar ke bich
koi lakir si pani ki jhilmilati hai
kabhi kabhi mere matruk aabshaar ke bich
main umr ko to mujhe umr khinchti hai ulaT
tazad samt ka hai asp aur sawar ke bich
Ghazal
Kabhi qatar se bahar kabhi qatar ke bich
Ejaz Gul