kabhi qalam kabhi nezon pe sar uchhalte hain
ab is fasil se suraj kahan nikalte hain
gharon se be-sabab apne kahan nikalte hain
zaruraton ke ishaaron pe log chalte hain
andhera un ke gharon ka bahut bhayanak hai
tamam shahr mein jin ke charagh jalte hain
hawa ke jhonke hain tere payambar lekin
hawa ke jhonke hi chehron pe KHak malte hain
badal bhi jae agar wo to hum na badlenge
nazar ke sath nazare kahan badalte hain
wahan ke sar-phire dariyaon ka KHuda-hafiz
pahaD aag bahut kam jahan ugalte hain
usi ke naghmon se jhumegi kaenat ai 'yaad'
wo jis ke samne aahan-sifat pighalte hain
Ghazal
Kabhi qalam kabhi nezon pe sar uchhalte hain
Shahjahan Bano Yaad