kabhi pyara koi manzar lagega 
badalne mein use dam bhar lagega 
nahin ho tum to ghar jangal lage hai 
jo tum ho sath jangal ghar lagega 
abhi hai raat baqi wahshaton ki 
abhi jaoge ghar to Dar lagega 
kabhi patthar paDenge sar ke upar 
kabhi patthar ke upar sar lagega 
dar o diwar ke badlenge chehre 
KHud apna ghar paraya ghar lagega 
chalenge panw us kuche ki jaanib 
magar ilzam sab dil par lagega 
hum apne dil ki babat kya bataen 
kabhi masjid kabhi mandar lagega 
agar tum marne walon mein hoge 
tumhaara phul bhi patthar lagega 
kahan le kar chaloge sach ka parcham 
muqabil jhuT ka lashkar lagega 
halaku aaj ka baghdad dekhe 
to us ki ruh ko bhi Dar lagega 
zamin ko aur uncha mat uThao 
zamin ka aasman se sar lagega 
jo achchhe kaam honge un se honge 
bura har kaam apne sar lagega 
sajate ho badan bekar 'jawed' 
tamasha ruh ke andar lagega
        Ghazal
Kabhi pyara koi manzar lagega
Abdullah Javed

