kabhi pairon se aankhon tak chubhan mahsus hoti hai
kabhi ye zindagi mujh ko chaman mahsus hoti hai
masafat ne musafir se kaha tu thak raha hai kyun
thakan mahsus karne se thakan mahsus hoti hai
to phir main sochta hun ruh ki pakizgi kya hai
mohabbat jab mujhe apna badan mahsus hoti hai
buland-o-baala lagti hai kabhi ye aasman jitni
kabhi ye chhat mujhe apna kafan mahsus hoti hai
wahan miTTi-tale main hae kaise sans khinchunga
mujhe taza hawa mein bhi ghuTan mahsus hoti hai
na aankhon mein wo pahle sa koi fawwara uThta hai
na sine mein wo pahli si jalan mahsus hoti hai
ye duniya pahle bhi KHud mein magan mahsus hoti thi
ye duniya aaj bhi KHud mein magan mahsus hoti hai
Ghazal
Kabhi pairon se aankhon tak chubhan mahsus hoti hai
Imran Shamshad