اردو हिंदी
Kabhi numayan kabhi tah-nashin bhi rahte hain | Shaahi Shayari
kabhi numayan kabhi tah-nashin bhi rahte hain

Ghazal

Kabhi numayan kabhi tah-nashin bhi rahte hain

Abdul Ahad Saaz

;

kabhi numayan kabhi tah-nashin bhi rahte hain
yahin pe rahte hain hum aur nahin bhi rahte hain

bhaTakti nazron mein hain murtakiz nigahen bhi
guman-kadon mein kuchh ahl-e-yaqin bhi rahte hain

agarche hum ko muqaddam hai rah-e-KHidmat-e-KHalq
jo baz aae to apne tain bhi rahte hain

baja shawahid o mantiq qubul bahs o dalil
pa hum KHata-e-nazar ke qarin bhi rahte hain

hijab fikr-o-nazar ke uTha ke dekho to
hamare fan mein kai naznin bhi rahte hain

shabahaten si ghubar-e-had-e-nigah mein hain
pas-e-falak kahin ahl-e-zamin bhi rahte hain

tum apne Thor-Thikanon ko yaad rakkho 'saz'
hamara kya hai ki hum to kahin bhi rahte hain