kabhi nasib ki bhule se bhi sahar na hui
baghair hasrat-o-gham zindagi basar na hui
sahar qarib hai sham-e-hayat bujhti hai
dayar-e-ghair mein yaron ko hi KHabar na hui
tumhein qarib se dekhta to KHud ko pahchana
shua-e-hasrat-e-dil hum pe be-asar na hui
kahan kahan na hui dastan-e-dil ruswa
wo ku-ba-ku na hui ya ki dar-ba-dar na hui
mariz-e-ishq ka to is qadar fasana hai
dawa ho ya ki dua koi kargar na hui
uThain tohmaten hum ne jahan-bhar ki magar
zara si bhul ki bhi tum se darguzar na hui
agarche mai-kada mein tishnagi ghazab ki thi
hamare waste hi mehrban nazar na hui
Ghazal
Kabhi nasib ki bhule se bhi sahar na hui
Mushtaq Singh