اردو हिंदी
Kabhi naghma-e-gham-e-arzu kabhi zindagi ki pukar hum | Shaahi Shayari
kabhi naghma-e-gham-e-arzu kabhi zindagi ki pukar hum

Ghazal

Kabhi naghma-e-gham-e-arzu kabhi zindagi ki pukar hum

Payam Fatehpuri

;

kabhi naghma-e-gham-e-arzu kabhi zindagi ki pukar hum
kabhi KHak-e-kucha-e-yar hum kabhi shahryar-e-bahaar hum

kabhi chal paDe teri rah mein to had-e-junun se guzar gae
tere intizar mein ho gae kabhi naqsh-e-rah-guzar hum

hamein kushtagan-e-hayat se hain junun-e-ishq ki azmaten
kabhi hans paDe tah-e-tegh hum kabhi jhum uThe sar-e-dar hum

rahe muztarib kabhi muddaton gham-e-dahr ki kaDi dhup mein
jo sukun mila hai to so liye kabhi zer-e-gesu-e-yar hum

tujhe pa saken ki na pa saken koi zindagi ki lagan to hai
ki KHushi se kaise ujaD den teri aarzu ka dayar hum

gham-e-zindagi se shikast kya rah-e-arzu mein qadam baDha
tu jo sath ho to badal bhi den ye mizaj-e-lail-o-nahaar hum

kabhi pas aa ke nigah kar hai ye zindagi tera aaina
tera rup hum tera pyar hum teri aarzu ka singar hum