kabhi nakaamiyon ka apni hum matam nahin karte
muqaddar mein jo gham likkhe hain un ka gham nahin karte
tumhaare naqsh-e-pa par jo nigahen apni rakhte hain
wo sar dair-o-haram ke samne bhi KHam nahin karte
ghaTaon ko barasne ka ishaara hi nahin milta
wo jab tak zulf apne dosh par barham nahin karte
masail daur-e-hazir ke hain mauzua-e-ghazal kuchh yun
ki shair aaj ke zikr-e-gul-o-shabnam nahin karte
ise tahzib-e-gham ka nam ahl-e-dard dete hain
mere aansu kabhi daman tumhaara nam nahin karte
samajhte hain ise ahl-e-nazar saman-e-KHud-bini
shikasta aaine ka wo kabhi matam nahin karte
andheron ki shikayat kya andhere phir andhere hain
ujale bhi sitam is daur mein kuchh kam nahin karte
mohabbat kis se hum karte hain kuchh batla nahin sakte
ye hai wo raaz jis mein dil ko bhi mahram nahin karte
farebon se kahan tak dil ko hum 'azad' bahlaen
sarab-e-dasht shiddat tishnagi ki kam nahin karte
Ghazal
Kabhi nakaamiyon ka apni hum matam nahin karte
Azad Gurdaspuri