kabhi mujhe kabhi KHud ko bhula ke dekhta hai
wo apne aap ko bhi aazma ke dekhta hai
talluqat mein apni hai maslahat sab ki
kabhi wo dur kabhi pas aa ke dekhta hai
main ja raha hun bahut dur shahr se apne
wo sun ke baat meri muskura ke dekhta hai
usi ka hukm hai tarik ghar ko rakhne ka
magar charagh-e-dil-o-jaan jala ke dekhta hai
tabah jis ke liye KHud ko kar liya main ne
wahi nazar se mujhe ab gira ke dekhta hai
Ghazal
Kabhi mujhe kabhi KHud ko bhula ke dekhta hai
Khan Rizwan