kabhi milte the wo hum se zamana yaad aata hai
badal kar waza chhup kar shab ko aana yaad aata hai
wo baaten bholi bholi aur wo shoKHi naz o ghamza ki
wo hans hans kar tera mujh ko rulana yaad aata hai
gale mein Dal kar banhen wo lab se lab mila dena
phir apne hath se saghar pilana yaad aata hai
badalna karwaT aur takiya mere pahlu mein rakh dena
wo sona aap aur mera jagana yaad aata hai
wo sidhi ulTi ek ek munh mein sau sau mujh ko kah jaana
dam-e-bosa wo tera ruTh jaana yaad aata hai
tasalli ko dil-e-betab ki meri dam-e-ruKHsat
nai qasmen wo jhuTi jhuTi khana yaad aata hai
wo rashk-e-ghair par ro ro ke hichki meri bandh jaana
farebon se wo tera shak miTana yaad aata hai
wo mera chaunk chaunk uThna sahar ke gham se aur tera
laga kar apne sina se sulana yaad aata hai
kabhi kuchh kah ke wo mujh ko rulana us sitamgar ka
phir aankhen nichi kar ke muskurana yaad aata hai
Ghazal
Kabhi milte the wo humse zamana yaad aata hai
Nizam Rampuri