اردو हिंदी
Kabhi mausam sath nahin dete kabhi bel munDer nahin chaDhti | Shaahi Shayari
kabhi mausam sath nahin dete kabhi bel munDer nahin chaDhti

Ghazal

Kabhi mausam sath nahin dete kabhi bel munDer nahin chaDhti

Saleem Kausar

;

kabhi mausam sath nahin dete kabhi bel munDer nahin chaDhti
lekin yahan waqt badalne mein aisi koi der nahin lagti

kahin andar bazm sajae hue kahin bahar KHud ko chhupae hue
tere zikr ka kaam nahin rukta teri yaad ki umr nahin Dhalti

ek KHwab-numa tamsil ka dhundla aks hai aaina-KHane mein
wo husn dikhai nahin deta aur phir bhi nigah nahin haTti

kai sadiyan bit gain mujh mein tere qurb ki be-lazzat rut mein
mera jism namaz ka aadi hai meri ruh namaz nahin paDhti