kabhi makan mein kabhi rahguzar mein rahte the
ye roz-o-shab to hamesha nazar mein rahte the
hawa ki rah mein uDti thi zindagi apni
misal-e-mauj kabhi hum bhanwar mein rahte the
mohabbaton mein bahut dil dhaDakta rahta tha
ajib log dil-e-mo'tabar mein rahte the
hamein bhi shauq tha kuchh titliyan pakaDne ka
tamam rang magar chashm-e-tar mein rahte the
KHizan se pahle yahan ka ajib mausam tha
samar ki tarah parinde shajar mein rahte the
gurez-pai ka shikwa karen to kis se karen
safar mein rah ke bhi hum log ghar mein rahte the
hawa ke sath zamana badal gaya hai 'razi'
hamin the wo jo kabhi is nazar mein rahte the
Ghazal
Kabhi makan mein kabhi rahguzar mein rahte the
Khwaja Razi Haidar