kabhi mahr-o-mah-o-nujum se kabhi kahkashan se guzar gaya
main teri talash mein aaKHirash had-e-la-makan se guzar gaya
ye tafaut-e-sanam-o-haram hai tabhi ki jab bhi nasha ho kam
jo bhi gharq-e-baada-e-haq hua gham-e-in-o-an se guzar gaya
kabhi shahr-e-husn-e-KHayal se kabhi dasht-e-huzn-o-malal se
tere ishq mein tere pyar mein main kahan kahan se guzar gaya
teri rahguzar meri rahguzar tere naqsh-e-pa meri rah par
tu jahan jahan se guzar gaya main wahan wahan se guzar gaya
rah-e-zindagi mein maqam wo mujhe bar-ha mile dosto
ki KHirad ka panw phisal gaya hai junun jahan se guzar gaya
mera jism kya meri ruh kya nahin koi zaKHmon ki intiha
ai 'amir' tir-e-nigah-e-husn kahan kahan se guzar gaya

Ghazal
Kabhi mahr-o-mah-o-nujum se kabhi kahkashan se guzar gaya
Mohammad Amir Azam Quraishi