kabhi lutf-e-zaban-e-KHush-bayan the
zamin-e-sher ke hum aasman the
laga Thokar na pae naz se tu
kabhi taj-e-sar-e-hindostan the
zamin par charKH deta hai abas tu
kabhi pir-e-falak hum bhi jawan the
zar-e-gul ban gaya nala hamara
chaman mein bhi hamin aatish-fishan the
makin thi ruh chhoDa jism jis dam
kirae ke ye sab qasr-o-makan the
wahi jangal hai ab par us se aage
chaman the gul the hum the baghban the
nahin ab zabt baqi na-tawan hun
mere aansu nihayat raaz-dan the
mere nalon se pahuncha qafila sab
jaras bekar mashghul-e-fughan the
jagaya na-tawan-binon ne un ko
abas wo mail-e-KHwab-e-garan the
dabe zer-e-zamin ai charKH mah-ru
yahan do din ke ye sab mehman the
ajab mausam mein kaTti thi jawani
chaman tha aur lutf-e-qissa-KHwan the
kahan majnun kahan 'farhad'-o-'wamiq'
hamari maut ke sab nauha-KHwan the
sawad-e-lucknow chhoDa alam mein
ye 'aKHtar' bhi ghazab ke KHush-bayan the

Ghazal
Kabhi lutf-e-zaban-e-KHush-bayan the
Wajid Ali Shah Akhtar