kabhi kisi ko na ahd-e-wafa ka pas hua
sahar ka KHwab andheron se ru-shanas hua
wo ek lafz jo mahdud-e-KHalwat-kun tha
wo lafz phaila to mansur-e-KHud-shanas hua
hamare baad bhi lakhon the Dubne wale
ab is ko kya karen dariya hi na-sipas hua
karam kisi ka had-e-e'tidal se baDh kar
hamare jazba-e-KHud-dar ki asas hua
talab mein ham-safari ki lagan kahan phir bhi
pukar lenge agar koi aas pas hua
udhar tha lafz-e-wafa jaise hukm-e-shahana
meri zaban pe aaya to iltimas hua
tawaqquat ke jadu ka zor to TuTa
shikast aaj tilism-e-umid-o-yas hua
marahil-e-gham-e-hasti ki uljhanen tauba
kahin wafa ka kahin zindagi ka pas hua
wo KHamushi thi jo tahsin-e-na-shanas hui
wo shor tha jo sukut-e-suKHan-shanas hua
Ghazal
Kabhi kisi ko na ahd-e-wafa ka pas hua
Mukhtar Hashmi