اردو हिंदी
Kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta | Shaahi Shayari
kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta

Ghazal

Kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta

Nida Fazli

;

kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta
kahin zamin kahin aasman nahin milta

tamam shahr mein aisa nahin KHulus na ho
jahan umid ho is ki wahan nahin milta

kahan charagh jalaen kahan gulab rakhen
chhaten to milti hain lekin makan nahin milta

ye kya azab hai sab apne aap mein gum hain
zaban mili hai magar ham-zaban nahin milta

charagh jalte hain binai bujhne lagti hai
KHud apne ghar mein hi ghar ka nishan nahin milta