اردو हिंदी
Kabhi KHwahish na hui anjuman-arai ki | Shaahi Shayari
kabhi KHwahish na hui anjuman-arai ki

Ghazal

Kabhi KHwahish na hui anjuman-arai ki

Ahmad Mushtaq

;

kabhi KHwahish na hui anjuman-arai ki
koi karta hai hifazat meri tanhai ki

main to gum apne nashe mein tha mujhe kya malum
kis ne munh pher liya kis ne pazirai ki

wo taghaful bhi na tha aur tawajjoh bhi na thi
kabhi Toka na kabhi hausla-afzai ki

hichkiyan sham-e-shafaq-tab ki thamti hi na thin
ab bhi ruk ruk ke sada aati hai shahnai ki

hum se pahle bhi suKHnawar hue kaise kaise
hum ne bhi thoDi bahut qafiya-paimai ki