kabhi KHwabon mein mila wo to KHayalon mein kabhi
rah chalte na mila din ke ujalon mein kabhi
zindagi hum se to is darja taghaful na barat
hum bhi shamil the tere chahne walon mein kabhi
jin ka hum aaj talak pa na sake koi jawab
KHud ko DhunDa kiye un talKH sawalon mein kabhi
thoDi ruswai tumhaari bhi to hogi yaro
chhap gae sher hamare jo risalon mein kabhi

Ghazal
Kabhi KHwabon mein mila wo to KHayalon mein kabhi
Salman Akhtar