kabhi KHun hoti hue aur kabhi jalte dekha
dil ko har bar naya rang badalte dekha
jab ye chaha ki likhen wasf-e-safa-e-ruKH-e-yar
safhe par pa-e-qalam hum ne phisalte dekha
mai mein ye baat kahan jo tere dide mein hai
jis ko dekha ki gira phir na sambhalte dekha
uf re soz-e-dil-e-ashiq ki lahad par us ke
sang-e-marmar sifat-e-barf pighalte dekha
dil ke lene mein ye qudarat use allah na de
jis ko miTTi ke khilaune pe machalte dekha
dil ka kya rang hai tum phir bhi na samjhe afsos
chashma-e-chashm se KHunab ubalte dekha
hai ye saqi ki karamat ki nahin jam ke panw
aur phir bazm mein sab ne use chalte dekha
waiz-o-shaiKH sabhi KHub hain kya batlaun
main ne maiKHane se kis kis ko nikalte dekha
parda kyun karta hai 'nazim' tere ghar aae the
raat ko hum ne unhen bhes badalte dekha

Ghazal
Kabhi KHun hoti hue aur kabhi jalte dekha
Syed Yusuf Ali Khan Nazim