kabhi KHushi se KHushi ki taraf nahin dekha
tumhaare baad kisi ki taraf nahin dekha
ye soch kar ki tera intizar lazim hai
tamam-umr ghaDi ki taraf nahin dekha
yahan to jo bhi hai aab-e-rawan ka aashiq hai
kisi ne KHushk nadi ki taraf nahin dekha
wo jis ke waste pardes ja raha hun main
bichhaDte waqt usi ki taraf nahin dekha
na rok le hamein rota hua koi chehra
chale to muD ke gali ki taraf nahin dekha
bichhaDte waqt bahut mutmain the hum donon
kisi ne muD ke kisi ki taraf nahin dekha
rawish buzurgon ki shamil hai meri ghuTTi mein
zaruratan bhi sakhi ki taraf nahin dekha
Ghazal
Kabhi KHushi se KHushi ki taraf nahin dekha
Munawwar Rana