kabhi KHushbu kabhi aawaz ban jaana paDega
parindon ko kisi bhi shakl mein aana paDega
KHud apne samne aate hue hairan hain hum
hamein ab is gali se ghum kar jaana paDega
use ye ghar samajhne lag gae hain rafta rafta
parindon se qafas aamada karwana paDega
udasi wazn rakhti hai jagah bhi gherti hai
hamein kamre ko KHali chhoD kar jaana paDega
main pichhle bench par sahma Dara baiTha hua hun
samajh mein kya nahin aaya ye samjhana paDega
yahan daman pe naqsha ban gaya hai aansuon se
kisi ki justuju mein dur tak jaana paDega
taaruf ke liye chehra kahan se laenge hum
agar chehra bhi ho to nam batlana paDega
kahin sanduq hi tabut ban jae na ek din
hifazat se rakhi chizon ko phailana paDega
KHuda-hafiz buland aawaz mein kahna paDega
phir us aawaz se aage nikal jaana paDega
jahan peshen-goi KHatm ho jaegi aaKHir
abhi is rah mein ek aur virana paDega
ye jangal bagh hai 'adil' ye daldal aab-e-ju hai
kahin kuchh hai jise tartib mein lana paDega
Ghazal
Kabhi KHushbu kabhi aawaz ban jaana paDega
Zulfiqar Aadil