kabhi KHud ko dard-shanas karo kabhi aao na
mujhe itna to na udas karo kabhi aao na
meri umr-sarae mahke hai gul-e-hijran se
kabhi aao aa kar bas karo kabhi aao na
mujhe chand mein shakl dikhai de jo duhai de
koi chaara-e-hosh-o-hawas karo kabhi aao na
isi gosha-e-yaad mein baiTha hun kai barson se
kisi raft-guzasht ka pas karo kabhi aao na
kahin aab-o-hawa-e-tishna-labi mujhe mar na de
use barkha ban kar ras karo kabhi aao na
sada aate jate mausam ki ye gulab-ruten
koi der hain ye ehsas karo kabhi aao na
Ghazal
Kabhi KHud ko dard-shanas karo kabhi aao na
Aftab Iqbal Shamim