kabhi KHud ko chhukar nahin dekhta hun
KHuda jaane bas wahm mein mubtala hun
kahan tak ye raftar qaem rahegi
kahin ab use rokna chahta hun
wo aa kar mana le to kya haal hoga
KHafa ho ke jab itna KHush ho raha hun
faqat ye jatata hun aawaz de kar
ki main bhi use nam se jaanta hun
gali mein sab achchha hi kahte the mujh ko
mujhe kya pata tha main itna bura hun
nahin ye safar wapsi ka nahin hai
use DhunDne apne ghar ja raha hun
Ghazal
Kabhi KHud ko chhukar nahin dekhta hun
Shariq Kaifi