kabhi khole to kabhi zulf ko bikhrae hai
zindagi sham hai aur sham Dhali jae hai
har KHushi mom ki guDiya hai muqaddas guDiya
taj shoalon ka zamana jise pahnae hai
KHamushi kya kisi gumbad ki faza hai jis mein
gunj ke meri hi aawaz palaT aae hai
zindagi puchhe hai ro kar kisi bewa ki tarah
chuDiyan kaun mere hath mein pahnae hai
dil kisi jam-e-labaalab ki tarah lahra kar
phir tere dast-e-hinai mein chhalak jae hai
kaun samjhe mere iKHlas ki azmat ko bhala
main wo dariya hun jo qatre mein sama jae hai
'prem' dekho to sahi zaKHmon ke zewar ki phaban
shaeri ban ke dulhan aur bhi sharmae hai
Ghazal
Kabhi khole to kabhi zulf ko bikhrae hai
Prem Warbartani