kabhi kaha na kisi se tere fasane ko
na jaane kaise KHabar ho gai zamane ko
dua bahaar ki mangi to itne phul khile
kahin jagah na rahi mere aashiyane ko
meri lahad pe patangon ka KHun hota hai
huzur shama na laya karen jalane ko
suna hai ghair ki mahfil mein tum na jaoge
kaho to aaj saja lun gharib-KHane ko
daba ke qabr mein sab chal diye dua na salam
zara si der mein kya ho gaya zamane ko
ab aage is mein tumhaara bhi nam aaega
jo hukm ho to yahin chhoD dun fasane ko
'qamar' zara bhi nahin tum ko KHauf-e-ruswai
chale ho chandni shab mein unhen bulane ko
Ghazal
Kabhi kaha na kisi se tere fasane ko
Qamar Jalalvi