kabhi kabhi yun bhi hum ne apne ji ko bahlaya hai
jin baaton ko KHud nahin samjhe auron ko samjhaya hai
hum se puchho izzat walon ki izzat ka haal kabhi
hum ne bhi ek shahr mein rah kar thoDa nam kamaya hai
us ko bhule barson guzre lekin aaj na jaane kyun
aangan mein hanste bachchon ko be-karan dhamkaya hai
us basti se chhuT kar yun to har chehre ko yaad kiya
jis se thoDi si an-ban thi wo aksar yaad aaya hai
koi mila to hath milaya kahin gae to baaten kin
ghar se bahar jab bhi nikle din bhar bojh uThaya hai
Ghazal
Kabhi kabhi yun bhi humne apne ji ko bahlaya hai
Nida Fazli