kabhi kabhi to mohabbat ki zindagi ke liye
KHud un ko hum ne ubhaara hai barhami ke liye
kiya hai kaam baDa zindagi mein ashkon ne
diye jalae shab-e-gham mein raushni ke liye
wo aaj bhi hain usi tirgi ki manzil mein
ujala mang ke lae jo raushni ke liye
ada-e-jaur-e-mohabbat mein nagawar nahin
KHulus chahiye ai dost barhami ke liye
ye daur wo hai ki apne hain ghair se bad-tar
kaleja chahiye apnon se dosti ke liye
dalil-e-azmat-e-insan hai ye nizam-e-jahan
zamin hai gardish-e-paiham mein aadmi ke liye
hamare haal-e-pareshan pe kash ek nazar
bhare hain rup ye hum ne teri KHushi ke liye
ye zindagi bhi ajab zindagi hai kya kahiye
'matin' Thokaren khate hain hum KHushi ke liye
Ghazal
Kabhi kabhi to mohabbat ki zindagi ke liye
Matin Niazi