kabhi kabhi to bahut yaad aane lagte ho
ki ruThte ho kabhi aur manane lagte ho
gila to ye hai tum aate nahin kabhi lekin
jab aate bhi ho to fauran hi jaane lagte ho
ye baat 'jaun' tumhaari mazaq hai ki nahin
ki jo bhi ho use tum aazmane lagte ho
tumhaari shairi kya hai bura bhala kya hai
tum apne dil ki udasi ko gane lagte ho
surud-e-atish-e-zarrin-e-sahn-e-KHamoshi
wo dagh hai jise har shab jalane lagte ho
suna hai kahkashanon mein roz-o-shab hi nahin
to phir tum apni zaban kyun jalane lagte ho
Ghazal
Kabhi kabhi to bahut yaad aane lagte ho
Jaun Eliya