kabhi kabhi main ye sochta hun ki mujh ko teri talash kyun hai
ki jab hain sare hi tar TuTe to saz mein irtiash kyun hai
koi agar puchhta ye hum se batate hum gar to kya batate
bhala ho sab ka ki ye na puchha ki dil pe aisi KHarash kyun hai
uTha ke hathon se tum ne chhoDa chalo na danista tum ne toDa
ab ulTa hum se to ye na puchho ki shisha ye pash pash kyun hai
ajab do-rahe pe zindagi hai kabhi hawas dil ko khinchti hai
kabhi ye sharmindagi hai dil mein ki itni fikr-e-maash kyun hai
na fikr koi na justuju hai na KHwab koi na aarzu hai
ye shaKHs to kab ka mar chuka hai to be-kafan phir ye lash kyun hai
Ghazal
Kabhi kabhi main ye sochta hun ki mujhko teri talash kyun hai
Javed Akhtar