kabhi kabhi kitna nuqsan uThana paDta hai
airon ghairon ka ehsan uThana paDta hai
TeDhe-meDhe raston par bhi KHwabon ka pashtara
teri KHatir meri jaan uThana paDta hai
kab sunta hai nala koi shor-sharabe mein
majburi mein bhi tufan uThana paDta hai
kaisi hawaen chalne lagi hain mere baghon mein
phulon ko bhi ab saman uThana paDta hai
gul-daste ki KHwahish rakhne walon ko aksar
koi KHar bhara gul-dan uThana paDta hai
yan koi tafriq nahin hai shah gada sab ko
apna bojh dil-e-nadan uThana paDta hai
yun mayus nahin hote hain koi na koi gham
achchhe achchhon ko har aan uThana paDta hai
makkaron ki is duniya mein kabhi kabhi 'alam'
achchhe logon ko bohtan uThana paDta hai
Ghazal
Kabhi kabhi kitna nuqsan uThana paDta hai
Alam Khursheed