اردو हिंदी
Kabhi juda do badan hue to dilon pe ye do azab utre | Shaahi Shayari
kabhi juda do badan hue to dilon pe ye do azab utre

Ghazal

Kabhi juda do badan hue to dilon pe ye do azab utre

Soz Najeebabadi

;

kabhi juda do badan hue to dilon pe ye do azab utre
bichhaDne wale ki yaad aai milan ke aankhon mein KHwab utre

baDhi hai fikr-e-maash jab se mere KHayalon ki wadiyon mein
na us ke chehre ka chand ubhra na aarizon ke gulab utre

ulajh gaya zindagi ke kanTe mein ittifaqan hamara daman
zamin ke gole pe sair karne ko hum jo KHana-KHarab utre

jinhon ne mangi unhen to di hi gai jahan mein KHushi ki daulat
baghair mange bhi kahilon par falak se gham be-hisab utre

chali jo aandhi to har kali ne jhuka ke sar ko ye iltija ki
chaman ke malik hamare ruKH se abhi na rang-e-shabab utre