kabhi jo us ki tamanna zara biphar jae
nasha phir us ki ana ka utar utar jae
charagh-e-shab mein to jalne ka hausla hi nahin
wo chahta hai ki tohmat hawa ke sar jae
zamin pe ghalba-e-shaitan falak bara-e-malak
bashar gharib pareshan ki wo kidhar jae
meri hayat ka suraj hai su-e-gharb magar
muhaal hai ki mera zauq-o-shauq mar jae
charagh-e-zehn jo raushan nahin to kuchh bhi nahin
wo tare toD ke lae ki chand par jae
Ghazal
Kabhi jo uski tamanna zara biphar jae
Arshad Kamal