kabhi jo nikhat-e-zulf-e-nigar aai hai
faza-e-murda-e-dil mein bahaar aai hai
zarur teri gali se guzar hua hoga
ki aaj baad-e-saba be-qarar aai hai
koi dimagh tasawwur bhi jin ka kar na sake
ye jaan-e-zar wo lamhe guzar aai hai
tujhe kuchh us ki KHabar bhi hai bhulne wale
kisi ko yaad teri bar bar aai hai
KHuda-gawah ki un ke firaq mein 'kausar'
jo sans aai hai wo sogwar aai hai
Ghazal
Kabhi jo nikhat-e-zulf-e-nigar aai hai
Kausar Niyazi