اردو हिंदी
Kabhi jo KHak ki taqrib-e-ru-numai hui | Shaahi Shayari
kabhi jo KHak ki taqrib-e-ru-numai hui

Ghazal

Kabhi jo KHak ki taqrib-e-ru-numai hui

Rafi Raza

;

kabhi jo KHak ki taqrib-e-ru-numai hui
bahut uDegi wahan bhi meri uDai hui

KHuda ka shukr-e-suKHan mujh pe mehrban hua
bahut dinon se thi luknat zaban mein aai hui

yahi hai ghazz-e-basar ye hai dekhna mera
rahegi aankh tahayyur mein DabDabai hui

tumhaara mera talluq hai jo rahe so rahe
tumhaare hijr ne kyun Tang hai aDai hui

pakaD liya gaya jaise ki main lagata hun
bujha raha tha kisi aur ki lagai hui

lahu lahu hua sajde mein dil agarche 'raza'
shab-e-shikast baDe zor ki laDai hui