kabhi jo aankhon mein pal-bhar ko KHwab jagte hain
to phir mahinon musalsal azab jagte hain
kisi ke lams ki tasir hai ki barson baad
meri kitabon mein ab bhi gulab jagte hain
burai kuchh to yaqinan hai be-hijabi mein
magar wo fitne jo zer-e-naqab jagte hain
sitam-shiaron hamara tum imtihan na lo
hamare sabr se sad inqalab jagte hain
hamein KHud apni samaat pe sharam aati hai
ki mimbaron se ab aise KHitab jagte hain
ye nind leti hai 'aKHlaq' wo KHiraj ki bas
jo KHub sote hain ho kar KHarab jagte hain
Ghazal
Kabhi jo aankhon mein pal-bhar ko KHwab jagte hain
Akhlaque Bandvi