kabhi jo aankh pe gesu-e-yar hota hai
sharab-KHane pe abr-e-bahaar hota hai
kisi ka gham ho mere dil pe bar hota hai
usi ka nam gham-e-rozgar hota hai
ilahi KHair ho un be-zaban asiron ki
qafas ke samne zikr-e-bahaar hota hai
chaman mein aise bhi do chaar hain chaman wale
ki jin ko mausam-e-gul nagawar hota hai
sawal-e-jam tere mai-kade mein ai saqi
jawab-e-gardish-e-lail-o-nahaar hota hai
hamein wafa pe wafa aaj tak na ras aai
unhen sitam pe sitam sazgar hota hai
labon pe aa gaya dam band ho chukin aankhen
chale bhi aao ki KHatm intizar hota hai
kahan wo wasl ki raaten kahan ye hijr ke din
KHayal-e-gardish-e-lail-o-nahaar hota hai
junun to ek baDi chiz hai mohabbat mein
zara se ashk se raaz aashkar hota hai
mere janaze ko dekha to yas se bole
yahan pe aadmi be-iKHtiyar hota hai
KHuda rakhe tumhein kya koi jaur bhul gae
jo ab talash hamara mazar hota hai
hamara zor hai kya baghban uTha lenge
ye aashiyan jo tujhe nagawar hota hai
ajib kashmakash-e-bahr-e-gham mein dil hai 'qamar'
na Dubta hai ye beDa na par hota hai
Ghazal
Kabhi jo aankh pe gesu-e-yar hota hai
Qamar Jalalvi