kabhi jalaya gaya to kabhi bujhaya gaya
tamam-umr charaghon ko aazmaya gaya
abhi wo chand falak se utar ke aaega
ye ek KHwab hamein barha dikhaya gaya
kiya hai pyas ka shikwa jo aasman se to
sulagti ret ka manzar hamein dikhaya gaya
to raaz khulne lage sare KHushbuon ki tarah
hawa ko jab bhi yahan raaz-dan banaya gaya
bujhe bujhe se the ashkon ke jugnu kal ki shab
tumhaare zikr se aankhon ko jagmagaya gaya
wahin pe raqs bahut wahshaton ka tha 'jyoti'
mohabbaton ka jazira jise bataya gaya
Ghazal
Kabhi jalaya gaya to kabhi bujhaya gaya
Jyoti Azad Khatri

